Monday 27 April 2015

Land acquisition bill

Ek kisaan tha jiske Ghar mein woh uski patni Aur boodhe Maa baap the baap kheton mein kaam karta kisaan ke Saath Aur Maa Ghar ke kaam mein haath batati,jahan tak ho sake haath se kaam karti par vraddhavastha ke kaaran bemaar Bhi rehti kisi tarah kisaan ka guzar a chal jaata.                   Ek din kisaan ne hisaab daala ke Ghar mein agar sirf woh Aur patni reh jaaye to kitna paisa bachaya jaa sakta hai,Aur iske kya kya faayede ho sakte hain,usne hisaab lagaya Aur growth,progress ke liye ek practical decision liya Aur apne Maa baap ko maar diya.                                              Ek varsh a ke baad usne 3 lakh rupaye jod liye Aur usse kuch loan lekar ek tractor,washing machine Aur mixi khareed li iss tarah uske Ghar Aur khet ka aadhunikikaran Bhi ho Gaya woh din dooni raat chauguni tarraqi karne laga Aur gaanv ke dhanadya logon mein uski ginti hone lagi,uski tarakki dekh gaanv ke kuch Anya parivaar Bhi Uska anusaran karne lage,kuch hi dinon mein yeh baat prashasan ko pata chali Aur unhone ispe ek high level commitee ka gathan kiya,Aur ek kanoon banaya ke boodhe Maa baap ko maarna hoga Aur iska uchit muavja diya jaayega yeh isiliye kiya gaya ke kuch bewaqoof aisa karne se inkaar kar Rahe the Aur isse Ilaake ki tarraki baadhit ho rahi thi,kuch impractical logon ne iske khilaaf andolan kiya kyunke jo iske liye tayyar nahi the unke Maa baap ko zabardasti maara jaa raha tha.                                                                                                                      Kuch din baad sarkar ne aadhunikikaran ke naam pe ek aisa hi kanoon laaya ke industrialization ke liye logon ki zameen li jaayegi Haan Uska Bhi muavja degi,ab uss kisaan ki Bhi zameen le li gayi Uska tractor Bekaar pad gaya usse doosra koi kaam nahi aata Aur jo paise mile woh Bhi kuch varsh mein khatma ho gaye aaj woh kisaan ro raha hai apne Maa baap ko yaad kar jinko maarne ke kaaran aaj use yeh din dekhna pad raha hai